martabe husn ke kam hon ye zaruri to nahin
martabe husn ke kam hoñ ye zarūrī to nahīñ
aap kī bazm meñ ham hoñ ye zarūrī to nahīñ
vo to maqsūm hī kuchh aur huā karte haiñ
sab kī taqdīr meñ ġham hoñ ye zarūrī to nahīñ
yuuñ bhī dīvāne sar-e-rāh bhaTak sakte haiñ
aap kī zulf meñ ḳham hoñ ye zarūrī to nahīñ
āshnā muflis-o-nādār kī majbūrī se
zehn-e-arbāb-e-karam hoñ ye zarūrī to nahīñ
vo to kuchh rāste maḳhsūs huā karte haiñ
har jagah naqsh-e-qadam hoñ ye zarūrī to nahīñ
chashm-e-sāqī kare rah rah ke ishāre 'anvar'
aur phir hosh meñ ham hoñ ye zarūrī to nahīñ
martabe husn ke kam hon ye zaruri to nahin
aap ki bazm mein hum hon ye zaruri to nahin
wo to maqsum hi kuchh aur hua karte hain
sab ki taqdir mein gham hon ye zaruri to nahin
yun bhi diwane sar-e-rah bhaTak sakte hain
aap ki zulf mein KHam hon ye zaruri to nahin
aashna muflis-o-nadar ki majburi se
zehn-e-arbab-e-karam hon ye zaruri to nahin
wo to kuchh raste maKHsus hua karte hain
har jagah naqsh-e-qadam hon ye zaruri to nahin
chashm-e-saqi kare rah rah ke ishaare 'anwar'
aur phir hosh mein hum hon ye zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.