masafat-e-shab-e-hijran tawil likhte rahe
masāfat-e-shab-e-hijrāñ tavīl likhte rahe
mile jo dard unheñ sañg-e-mīl likhte rahe
hikāyateñ hī nahīñ likkhīñ aag kī ham ne
haqīqateñ bhī ba-rañg-e-ḳhalīl likhte rahe
jo qalb-o-jāñ meñ hai ḳhushbū kisī kī zulfoñ kī
usī ko apnī matā-e-jalīl likhte rahe
rahī ye aas ki sairāb hogī kisht-e-hayāt
so jauhaḌoñ ko bhī dariyā-e-nīl likhte rahe
nikal sakī na vahāñ ek buuñd bhī 'fāḳhir'
tamām-umr jin āñkhoñ ko jhiil likhte rahe
masafat-e-shab-e-hijran tawil likhte rahe
mile jo dard unhen sang-e-mil likhte rahe
hikayaten hi nahin likkhin aag ki hum ne
haqiqaten bhi ba-rang-e-KHalil likhte rahe
jo qalb-o-jaan mein hai KHushbu kisi ki zulfon ki
usi ko apni mata-e-jalil likhte rahe
rahi ye aas ki sairab hogi kisht-e-hayat
so jauhaDon ko bhi dariya-e-nil likhte rahe
nikal saki na wahan ek bund bhi 'faKHir'
tamam-umr jin aankhon ko jhil likhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.