masala aaj mere ishq ka tu hal kar de
mas.ala aaj mire ishq kā tū hal kar de
pyaar kar TuuT ke mujh se mujhe pāgal kar de
luuT le merā sukūñ aur mujhe be-kal kar de
yuuñ simaT aa mirī bāñhoñ meñ unheñ shal kar de
dekh kar pahlī nazar meñ jo umaD aa.e the
phir se jazbāt meñ paidā vahī halchal kar de
ban ke ghanghor ghaTā mujh pe tū chhā khul ke baras
ḳhushk sahrā ko mire jism ke jal-thal kar de
kis tarah vaqt guzartā hai pata hī na chale
ibtidā aaj se kar aur use kal kar de
tere bin mujh ko adhūrā sā lage apnā vajūd
yuuñ samā mujh meñ mirā jism mukammal kar de
jhiil āñkhoñ kī mirī jaan zarā sadqa utaar
aur mire naam tū āñkhoñ kā ye kājal kar de
aur kuchh tujh se nahīñ māñgtā ai jān-e-hayāt
vaqt bas mere liye apnā har ik pal kar de
chāhtā huuñ ki na dekheñ tujhe duniyā vaale
sirf parde ke liye sāmne āñchal kar de
qabl is ke mujhe jhulsā de ġhamoñ kā sūraj
mujh pe tū apnī siyah zulfoñ kā bādal kar de
mere allāh nazar bhar ke use dekh to luuñ
phir tū chāhe mirī āñkhoñ ko muqaffal kar de
Duub jā.ūñ maiñ tire ishq-samundar meñ 'nadīm'
apnī sāñsoñ se mirī sāñsoñ ko bojhal kar de
masala aaj mere ishq ka tu hal kar de
pyar kar TuT ke mujh se mujhe pagal kar de
luT le mera sukun aur mujhe be-kal kar de
yun simaT aa meri banhon mein unhen shal kar de
dekh kar pahli nazar mein jo umaD aae the
phir se jazbaat mein paida wahi halchal kar de
ban ke ghanghor ghaTa mujh pe tu chha khul ke baras
KHushk sahra ko mere jism ke jal-thal kar de
kis tarah waqt guzarta hai pata hi na chale
ibtida aaj se kar aur use kal kar de
tere bin mujh ko adhura sa lage apna wajud
yun sama mujh mein mera jism mukammal kar de
jhil aankhon ki meri jaan zara sadqa utar
aur mere nam tu aankhon ka ye kajal kar de
aur kuchh tujh se nahin mangta ai jaan-e-hayat
waqt bas mere liye apna har ek pal kar de
chahta hun ki na dekhen tujhe duniya wale
sirf parde ke liye samne aanchal kar de
qabl is ke mujhe jhulsa de ghamon ka suraj
mujh pe tu apni siyah zulfon ka baadal kar de
mere allah nazar bhar ke use dekh to lun
phir tu chahe meri aankhon ko muqaffal kar de
Dub jaun main tere ishq-samundar mein 'nadim'
apni sanson se meri sanson ko bojhal kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.