masala hai to koi hal bhi nikala jae
masala hai to koi hal bhi nikala jae
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
mas.ala hai to koī hal bhī nikālā jaa.e
aao hālāt ko mil-jul ke sambhālā jaa.e
ham to ā.īna-sifat log haiñ sach boleñge
ham pe hargiz na koī sang uchhālā jaa.e
yā to ḳhvāboñ meñ haqīqat kā koī rang bharo
yā to kah do ki koī ḳhvāb na paalā jaa.e
ishq meñ haar bhī mumkin hai magar badle meñ
phuul se chehroñ pe tezāb na Daalā jaa.e
talḳh lahje se banī baat bigaḌ jaatī hai
soch kar lafz koī muñh se nikālā jaa.e
jin se 'mashkūr' sañbhālā na gayā ghar apnā
kaise phir un se bhalā mulk sañbhālā jaa.e
masala hai to koi hal bhi nikala jae
aao haalat ko mil-jul ke sambhaala jae
hum to aaina-sifat log hain sach bolenge
hum pe hargiz na koi sang uchhaala jae
ya to KHwabon mein haqiqat ka koi rang bharo
ya to kah do ki koi KHwab na pala jae
ishq mein haar bhi mumkin hai magar badle mein
phul se chehron pe tezab na Dala jae
talKH lahje se bani baat bigaD jati hai
soch kar lafz koi munh se nikala jae
jin se 'mashkur' sanbhaala na gaya ghar apna
kaise phir un se bhala mulk sanbhaala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.