masala husn-e-taKHyyul ka hai na ilham ka hai
mas.ala husn-e-taḳhyyul kā hai na ilhām kā hai
ye fasāna zarā mushkil dil-e-nākām kā hai
rāt-din pahroñ-pahar us kī adā ke charche
ye tamāsha bhī mire vāste kis kaam kā hai
muskurāne lage har samt mohabbat ke charāġh
tere chehre kā tasavvur bhī baḌe kaam kā hai
suunī suunī thiiñ jo āñkheñ vo dobāra hañs deñ
nazar aayā hai jo manzar vo usī shaam kā hai
is ta'alluq kā koī rang na Dhalne paayā
tazkira she'roñ meñ ab bhī usī gulfām kā hai
le uḌiiñ zard havā.eñ mire ghar se ḳhushbū
bām-o-dar kyā haiñ darīcha mire kis kaam kā hai
fasl ho jaa.e to baḌhtī hai ḳhushī se duurī
aap kā qurb ye sach hai baḌe ārām kā hai
masala husn-e-taKHyyul ka hai na ilham ka hai
ye fasana zara mushkil dil-e-nakaam ka hai
raat-din pahron-pahar us ki ada ke charche
ye tamasha bhi mere waste kis kaam ka hai
muskurane lage har samt mohabbat ke charagh
tere chehre ka tasawwur bhi baDe kaam ka hai
suni suni thin jo aankhen wo dobara hans den
nazar aaya hai jo manzar wo usi sham ka hai
is ta'alluq ka koi rang na Dhalne paya
tazkira she'ron mein ab bhi usi gulfam ka hai
le uDin zard hawaen mere ghar se KHushbu
baam-o-dar kya hain daricha mere kis kaam ka hai
fasl ho jae to baDhti hai KHushi se duri
aap ka qurb ye sach hai baDe aaram ka hai
- Book : Gaye Ruton Ke Zakhm (Pg. 40)
- Author : Salma Shaheen
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.