masala jo mere dar-pesh hai tu hal kar de
mas.ala jo mire dar-pesh hai tū hal kar de
zindagī merī adhūrī hai mukammal kar de
dil-e-ḳhāmosh pe ik halkī sī dastak de kar
jazba-e-shauq mirā aur bhī chanchal kar de
jab bhī gardan maiñ jhukā.ūñ to nazar aa.e tū
apnī tasvīr mire dil meñ muqaffal kar de
tū ghaTā ban ke fazāoñ meñ bikhar jā har-sū
merī chāhat ko bhī āvāra sā bādal kar de
le ke añgḌā.ī jakaḌ le mujhe nāgin kī tarah
mere is jalte badan ko zarā sandal kar de
chashm-e-nargis jo ḳhudā ne tujhe baḳhshī ai sanam
ai sanam mujh ko bhī in āñkhoñ kā kājal kar de
ab na 'jhanjhaT' rahe baaqī na shikāyat koī
ban ke hamrāh sar-e-rāh tū halchal de
masala jo mere dar-pesh hai tu hal kar de
zindagi meri adhuri hai mukammal kar de
dil-e-KHamosh pe ek halki si dastak de kar
jazba-e-shauq mera aur bhi chanchal kar de
jab bhi gardan main jhukaun to nazar aae tu
apni taswir mere dil mein muqaffal kar de
tu ghaTa ban ke fazaon mein bikhar ja har-su
meri chahat ko bhi aawara sa baadal kar de
le ke angDai jakaD le mujhe nagin ki tarah
mere is jalte badan ko zara sandal kar de
chashm-e-nargis jo KHuda ne tujhe baKHshi ai sanam
ai sanam mujh ko bhi in aankhon ka kajal kar de
ab na 'jhanjhaT' rahe baqi na shikayat koi
ban ke hamrah sar-e-rah tu halchal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.