masala usne bana kar jo uThaya hai mujhe
mas.ala us ne banā kar jo uThāyā hai mujhe
huuñ maiñ is dahr meñ muzhda ye sunāyā hai mujhe
rū-ba-rū mere vo phir DhūñD ke laayā hai mujhe
phir mire vahm ne ā.īna dikhāyā hai mujhe
hai tirā shahr bahut duur magar lagtā hai
har sahar ne vahīñ jaagā huā paayā hai mujhe
terā har ġham mujhe ḳhushiyoñ se bhī baḌh kar hai ‘azīz
har nayā ġham tirī dīvār kā saayā hai mujhe
besh-qīmat huuñ bahut apne harīfoñ ke liye
mere yāroñ ne magar muft meñ paayā hai mujhe
jis ke hāthoñ se huī thī mirī tā'mīr kabhī
almiya ye hai ki ḳhud us ne hī Dhāyā hai mujhe
jā-ba-jā likkhā huā huuñ sar-e-sāhil 'pāshī'
jā-ba-jā tund havāoñ ne miTāyā hai mujhe
masala us ne bana kar jo uThaya hai mujhe
hun main is dahr mein muzhda ye sunaya hai mujhe
ru-ba-ru mere wo phir DhunD ke laya hai mujhe
phir mere wahm ne aaina dikhaya hai mujhe
hai tera shahr bahut dur magar lagta hai
har sahar ne wahin jaga hua paya hai mujhe
tera har gham mujhe KHushiyon se bhi baDh kar hai ‘aziz
har naya gham teri diwar ka saya hai mujhe
besh-qimat hun bahut apne harifon ke liye
mere yaron ne magar muft mein paya hai mujhe
jis ke hathon se hui thi meri ta'mir kabhi
almiya ye hai ki KHud us ne hi Dhaya hai mujhe
ja-ba-ja likkha hua hun sar-e-sahil 'pashi'
ja-ba-ja tund hawaon ne miTaya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.