masale hal nahin hue mere
mas.ale hal nahīñ hue mere
tum mukammal nahīñ hue mere
jin paloñ ke liye vo merā thā
bas vahī pal nahīñ hue mere
kyā karūñgā maiñ kal bhī duniyā meñ
tum agar kal nahīñ hue mere
mere 'āqil to ġhair the lekin
mere pāgal nahīñ hue mere
chand āñkheñ mirī huiiñ lekin
un ke kājal nahīñ hue mere
anginat baaġh mere haiñ phir bhī
phuul aur phal nahīñ hue mere
roz-e-avval bhī vo badan chhū kar
haath kyoñ shal nahīñ hue mere
lafz chandan ke jaise bhī rakh kar
she'r sandal nahīñ hue mere
tū batā tere yaar tere haiñ
Thiik hai chal nahīñ hue mere
masale hal nahin hue mere
tum mukammal nahin hue mere
jin palon ke liye wo mera tha
bas wahi pal nahin hue mere
kya karunga main kal bhi duniya mein
tum agar kal nahin hue mere
mere 'aqil to ghair the lekin
mere pagal nahin hue mere
chand aankhen meri huin lekin
un ke kajal nahin hue mere
anginat bagh mere hain phir bhi
phul aur phal nahin hue mere
roz-e-awwal bhi wo badan chhu kar
hath kyon shal nahin hue mere
lafz chandan ke jaise bhi rakh kar
she'r sandal nahin hue mere
tu bata tere yar tere hain
Thik hai chal nahin hue mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.