masarrat chiz kya hai ranj kya hai
masarrat chiiz kyā hai rañj kyā hai
ye saarā khel ik ehsās kā hai
bahār-e-zindagī kahte haiñ jis ko
kisī ke ik tabassum kī ziyā hai
ḳhatā-e-bevafā.ī aur ham se
yaqīnan aap ko dhokā huā hai
abhī badlī nahīñ insāñ kī fitrat
ye ab bhī dushman-e-mehr-o-vafā hai
kisī ke jaur kā had se guzarnā
hamārī ḳhāmushī kī intihā hai
kisī kī bazm tak ho kyā rasā.ī
muqaddar hī hamārā nā-rasā hai
use kyā vāsta dair-o-haram se
vo jis ne rāz-e-ulfat pā liyā hai
hazāroñ rāhateñ us par nichhāvar
tumhārā ġham jise raas aa gayā hai
kabhī sunte nahīñ haiñ aap varna
hamāre dil meñ bhī ik mudda.ā hai
maiñ un ko pūjtā huuñ jaañ se dil se
vo jin ke dil meñ ehsās-e-vafā hai
talātum-ḳhez maujoñ se guzar jā
lab-e-sāhil khaḌā kyā sochtā hai
hameñ mutlaq nahīñ ehsās 'āsī'
hamārī zindagī be-āsrā hai
masarrat chiz kya hai ranj kya hai
ye sara khel ek ehsas ka hai
bahaar-e-zindagi kahte hain jis ko
kisi ke ek tabassum ki ziya hai
KHata-e-bewafai aur hum se
yaqinan aap ko dhoka hua hai
abhi badli nahin insan ki fitrat
ye ab bhi dushman-e-mehr-o-wafa hai
kisi ke jaur ka had se guzarna
hamari KHamushi ki intiha hai
kisi ki bazm tak ho kya rasai
muqaddar hi hamara na-rasa hai
use kya wasta dair-o-haram se
wo jis ne raaz-e-ulfat pa liya hai
hazaron rahaten us par nichhawar
tumhaara gham jise ras aa gaya hai
kabhi sunte nahin hain aap warna
hamare dil mein bhi ek muddaa hai
main un ko pujta hun jaan se dil se
wo jin ke dil mein ehsas-e-wafa hai
talatum-KHez maujon se guzar ja
lab-e-sahil khaDa kya sochta hai
hamein mutlaq nahin ehsas 'asi'
hamari zindagi be-asra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.