masarrat ke lamhat kam dekhte hain
masarrat ke lamhāt kam dekhte haiñ
zamāne kī āñkhoñ meñ ġham dekhte haiñ
ye kis kī hai aamad shagufta fazā hai
bahāroñ kā har-sū karam dekhte haiñ
miTāyā hai jis ne mohabbat meñ ḳhud ko
ham us kā hī naqsh-e-qadam dekhte haiñ
uḳhuvvat mohabbat na hī bhā.ī-chāra
yahāñ bhaa.ī bhaa.ī ko kam dekhte haiñ
sikhā.e haiñ jis ne tabassum takallum
ab un par musallat sitam dekhte haiñ
ye mahfil sajā.ī thī jis ke liye kyoñ
use hī yahāñ par adam dekhte haiñ
ye e.azāz hai kyā mohabbat kā 'sārim'
mohabbat kī āñkhoñ ko nam dekhte haiñ
masarrat ke lamhat kam dekhte hain
zamane ki aankhon mein gham dekhte hain
ye kis ki hai aamad shagufta faza hai
bahaaron ka har-su karam dekhte hain
miTaya hai jis ne mohabbat mein KHud ko
hum us ka hi naqsh-e-qadam dekhte hain
uKHuwwat mohabbat na hi bhai-chaara
yahan bhai bhai ko kam dekhte hain
sikhae hain jis ne tabassum takallum
ab un par musallat sitam dekhte hain
ye mahfil sajai thi jis ke liye kyon
use hi yahan par adam dekhte hain
ye eazaz hai kya mohabbat ka 'sarim'
mohabbat ki aankhon ko nam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.