masarrat ki farawani ke din hain
masarrat kī farāvānī ke din haiñ
mohabbat kī jahāñbānī ke din haiñ
tamannāoñ kī shādābī kā mausam
ye armānoñ kī jaulānī ke din haiñ
hai kaliyoñ ke tabassum kā zamāna
guloñ kī chāk-dāmānī ke din haiñ
manāzir meñ hai rañgīnī ġhazab kī
nazar kī shauq-sāmānī ke din haiñ
uThe haiñ chaar sū bādal ḳhushī ke
hasīñ jazboñ kī tuġhyānī ke din haiñ
mile haiñ pyaar ke anmol tohfe
ḳhulūs-e-dil kī arzānī ke din haiñ
hue raushan muqaddar ke sitāre
falak kī nūr-afshānī ke din haiñ
salāmat rahmat-e-haq kā tasalsul
mubārak fazl-e-rabbānī ke din haiñ
masarrat ki farawani ke din hain
mohabbat ki jahanbani ke din hain
tamannaon ki shadabi ka mausam
ye armanon ki jaulani ke din hain
hai kaliyon ke tabassum ka zamana
gulon ki chaak-damani ke din hain
manazir mein hai rangini ghazab ki
nazar ki shauq-samani ke din hain
uThe hain chaar su baadal KHushi ke
hasin jazbon ki tughyani ke din hain
mile hain pyar ke anmol tohfe
KHulus-e-dil ki arzani ke din hain
hue raushan muqaddar ke sitare
falak ki nur-afshani ke din hain
salamat rahmat-e-haq ka tasalsul
mubarak fazl-e-rabbani ke din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.