masarraton ke KHazane hi kam nikalte hain
masarratoñ ke ḳhazāne hī kam nikalte haiñ
kisī bhī siine ko kholo to ġham nikalte haiñ
hamāre jism ke andar kī jhiil suukh ga.ī
isī liye to ab aañsū bhī kam nikalte haiñ
ye karbalā kī zamīñ hai ise salām karo
yahāñ zamīn se patthar bhī nam nikalte haiñ
yahī hai zid to hathelī pe apnī jaan liye
amīr-e-shahr se kah do ki ham nikalte haiñ
kahāñ har ek ko milte haiñ chāhne vaale
nasīb vāloñ ke gesū meñ ḳham nikalte haiñ
jahāñ se ham ko guzarne meñ sharm aatī hai
usī galī se ka.ī mohtaram nikalte haiñ
tumhī batāo ki maiñ khilkhilā ke kaise hañsūñ
ki roz ḳhāna-e-dil se alam nikalte haiñ
tumhāre ahd-e-hukūmat kā sāneha ye hai
ki ab to log gharoñ se bhī kam nikalte haiñ
masarraton ke KHazane hi kam nikalte hain
kisi bhi sine ko kholo to gham nikalte hain
hamare jism ke andar ki jhil sukh gai
isi liye to ab aansu bhi kam nikalte hain
ye karbala ki zamin hai ise salam karo
yahan zamin se patthar bhi nam nikalte hain
yahi hai zid to hatheli pe apni jaan liye
amir-e-shahr se kah do ki hum nikalte hain
kahan har ek ko milte hain chahne wale
nasib walon ke gesu mein KHam nikalte hain
jahan se hum ko guzarne mein sharm aati hai
usi gali se kai mohtaram nikalte hain
tumhi batao ki main khilkhila ke kaise hansun
ki roz KHana-e-dil se alam nikalte hain
tumhaare ahd-e-hukumat ka saneha ye hai
ki ab to log gharon se bhi kam nikalte hain
- Book : Sukhan Sarai (Pg. 14)
- Author : Munawwar Rana
- Publication : Maktaba Al- Faheem (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.