masarraton ki ye nadiyan sabhi bahaw mein hain
masarratoñ kī ye nadiyāñ sabhī bahāv meñ haiñ
tumhāre saath bhī ġham haiñ magar dabāo meñ haiñ
tumhāre jaisā koī aur ban bhī saktā hai
ke chaak kūza-garoñ ke abhī ghumāv meñ haiñ
ye husn-o-ishq ke chakkar meñ ham nahīñ paḌte
magar shuā.eñ tumhāre jo hāv-bhāv meñ haiñ
hai shāh-kār har ik shai tirī banā.ī huī
isī liye tirī duniyā se ham lagāv meñ haiñ
tire ḳhutūt bhī dīmak ke aage haar ga.e
aur ham bhī zindagī ke āḳhirī paḌāv meñ haiñ
machā rahe the bahut shor mere haq meñ bhī
ye log aaj jo utre tire bachāo meñ haiñ
maiñ un ke saath hī irfān Duub jā.ūñgā
jo log Dūbne vaale haiñ merī naav meñ haiñ
masarraton ki ye nadiyan sabhi bahaw mein hain
tumhaare sath bhi gham hain magar dabao mein hain
tumhaare jaisa koi aur ban bhi sakta hai
ke chaak kuza-garon ke abhi ghumaw mein hain
ye husn-o-ishq ke chakkar mein hum nahin paDte
magar shuaen tumhaare jo haw-bhaw mein hain
hai shah-kar har ek shai teri banai hui
isi liye teri duniya se hum lagaw mein hain
tere KHutut bhi dimak ke aage haar gae
aur hum bhi zindagi ke aaKHiri paDaw mein hain
macha rahe the bahut shor mere haq mein bhi
ye log aaj jo utre tere bachao mein hain
main un ke sath hi irfan Dub jaunga
jo log Dubne wale hain meri naw mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.