mashhur hain dinon ki mere be-qarariyan
mash.hūr haiñ dinoñ kī mire be-qarāriyāñ
jaatī haiñ lā-makāñ ko dil-e-shab kī zāriyāñ
chehre pe jaise zaḳhm hai nāḳhun kā har ḳharāsh
ab dīdanī huī haiñ mirī dast-kāriyāñ
sau baar ham ne gul ke ga.e par chaman ke beach
bhar dī haiñ āb-e-chashm se rātoñ ko kiyāriyāñ
kushte kī us ke ḳhaak bhare jism-e-zār par
ḳhālī nahīñ haiñ lutf se lohū kī dhāriyāñ
turbat se āshiqoñ ke na uThā kabhū ġhubār
jī se ga.e vale na ga.iiñ rāz-dāriyāñ
ab kis kis apnī ḳhvāhish-e-murda ko roiye
thiiñ ham ko is se saiñkaḌoñ ummīdvāriyāñ
paḌhte phireñge galiyoñ meñ in reḳhtoñ ko log
muddat raheñgī yaad ye bāteñ hamāriyāñ
kyā jānte the aise din aa jā.eñge shitāb
rote guzartiyāñ haiñ hameñ rāteñ sāriyāñ
gul ne hazār rañg-e-suḳhan sar kiyā vale
dil se ga.iiñ na bāteñ tirī pyārī pyāriyāñ
jāoge bhuul ahd ko farhād-o-qais ke
gar pahuñcheñ ham shikasta-diloñ kī bhī bāriyāñ
bach jaatā ek raat jo kaT jaatī aur 'mīr'
kāTeñ thiiñ kohkan ne bahut rāteñ bhāriyāñ
mashhur hain dinon ki mere be-qarariyan
jati hain la-makan ko dil-e-shab ki zariyan
chehre pe jaise zaKHm hai naKHun ka har KHarash
ab didani hui hain meri dast-kariyan
sau bar hum ne gul ke gae par chaman ke beach
bhar di hain aab-e-chashm se raaton ko kiyariyan
kushte ki us ke KHak bhare jism-e-zar par
KHali nahin hain lutf se lohu ki dhaariyan
turbat se aashiqon ke na uTha kabhu ghubar
ji se gae wale na gain raaz-dariyan
ab kis kis apni KHwahish-e-murda ko roiye
thin hum ko is se sainkaDon ummidwariyan
paDhte phirenge galiyon mein in reKHton ko log
muddat rahengi yaad ye baaten hamariyan
kya jaante the aise din aa jaenge shitab
rote guzartiyan hain hamein raaten sariyan
gul ne hazar rang-e-suKHan sar kiya wale
dil se gain na baaten teri pyari pyariyan
jaoge bhul ahd ko farhad-o-qais ke
gar pahunchen hum shikasta-dilon ki bhi bariyan
bach jata ek raat jo kaT jati aur 'mir'
kaTen thin kohkan ne bahut raaten bhaariyan
Source:

MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0297
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.