mashhur ho gaya wo mera pairahan liye
mash.hūr ho gayā vo mirā pairahan liye
maiñ phir rahā huuñ shahr meñ nangā badan liye
maiñ to kabhī kā mar chukā aur log ro chuke
ye kaun phir se aa gayā merā kafan liye
zarroñ meñ jab se jism mirā munqasim huā
sar par khaḌā hai haath meñ sūraj kiran liye
maiñ ne to apne haath se khodī hai apnī qabr
aaya hai le ke kaisī talab gorkan liye
phir rāste kī dhuul meñ saarā badan aTā
phir chal paḌā hai 'faḳhr' irāde kaThan liye
mashhur ho gaya wo mera pairahan liye
main phir raha hun shahr mein nanga badan liye
main to kabhi ka mar chuka aur log ro chuke
ye kaun phir se aa gaya mera kafan liye
zarron mein jab se jism mera munqasim hua
sar par khaDa hai hath mein suraj kiran liye
main ne to apne hath se khodi hai apni qabr
aaya hai le ke kaisi talab gorkan liye
phir raste ki dhul mein sara badan aTa
phir chal paDa hai 'faKHr' irade kaThan liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.