mashhur to bas ek diya hai mere dil mein
mash.hūr to bas ek diyā hai mire dil meñ
kitne hī sitāroñ kī jagah hai mire dil meñ
tum ne to hikāyāt hī sun rakkhī haiñ varna
vo shahr vo ḳheme vo sirā hai mire dil meñ
maiñ raah se bhaTkūñ to khaTaktī hai koī baat
jis tarah koī samt-numā hai mire dil meñ
duniyā se guzarne ko abhī umr paḌī hai
ye ḳhvāb to kuchh din ko rukā hai mire dil meñ
ye ghar dar-o-dīvār kī had tak hai salāmat
lekin vo jo ghar TuuT gayā hai mire dil meñ
ye log zarā der ko Tal jaa.eñ to 'bābar'
maiñ dekh luuñ kyā vaqt huā hai mire dil meñ
mashhur to bas ek diya hai mere dil mein
kitne hi sitaron ki jagah hai mere dil mein
tum ne to hikayat hi sun rakkhi hain warna
wo shahr wo KHeme wo sira hai mere dil mein
main rah se bhaTkun to khaTakti hai koi baat
jis tarah koi samt-numa hai mere dil mein
duniya se guzarne ko abhi umr paDi hai
ye KHwab to kuchh din ko ruka hai mere dil mein
ye ghar dar-o-diwar ki had tak hai salamat
lekin wo jo ghar TuT gaya hai mere dil mein
ye log zara der ko Tal jaen to 'babar'
main dekh lun kya waqt hua hai mere dil mein
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 575)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.