mashiyyat kis ke bas mein faza se kaun laDta hai
mashiyyat kis ke bas mein faza se kaun laDta hai
Shameem Farooq Banspari
MORE BYShameem Farooq Banspari
mashiyyat kis ke bas meñ fazā se kaun laḌtā hai
yahāñ jo sar uThātā hai use jhuknā hī paḌtā hai
chalā huuñ dair se sū-e-haram lekin ye aalam hai
ki jaise koī rah rah kar mirā dāman pakaḌtā hai
haqīqat se baġhāvat uljhanoñ meñ Daal detī hai
ye saudā laakh sastā ho magar mahñgā hī paḌtā hai
janāb-e-shaiḳh ne parda uThāyā is haqīqat se
ki ik aalim bigaḌtā hai to ik aalam bigaḌtā hai
nasheman luT chukā radd-e-amal kā intizār ab hai
bhalā ghar dekhiye sayyād kā kab tak ujaḌtā hai
yaqīñ kī aag meñ taptī hai jab rūh-e-ḳhudī barsoñ
kahīñ tab jā ke sho.ala phuul kī sūrat pakaḌtā hai
kahīñ Thokar na khā jaanā ki muñh par aañkh rakhte ho
haram kī raah meñ 'fārūq' but-ḳhāna bhī paḌtā hai
mashiyyat kis ke bas mein faza se kaun laDta hai
yahan jo sar uThata hai use jhukna hi paDta hai
chala hun dair se su-e-haram lekin ye aalam hai
ki jaise koi rah rah kar mera daman pakaDta hai
haqiqat se baghawat uljhanon mein Dal deti hai
ye sauda lakh sasta ho magar mahnga hi paDta hai
janab-e-shaiKH ne parda uThaya is haqiqat se
ki ek aalim bigaDta hai to ek aalam bigaDta hai
nasheman luT chuka radd-e-amal ka intizar ab hai
bhala ghar dekhiye sayyaad ka kab tak ujaDta hai
yaqin ki aag mein tapti hai jab ruh-e-KHudi barson
kahin tab ja ke shoala phul ki surat pakaDta hai
kahin Thokar na kha jaana ki munh par aankh rakhte ho
haram ki rah mein 'faruq' but-KHana bhi paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.