mashwara dene ki koshish to karo
mashvara dene kī koshish to karo
mere haq meñ koī sāzish to karo
jab kisī mahfil meñ merā zikr ho
chup raho itnī navāzish to karo
merā kahnā harf-e-āḳhir bhī nahīñ
merī maano āzmā.ish to karo
ḳhud-satā.ī sheva-e-iblīs hai
nazr-e-haq harf-e-satā.ish to karo
chār-sū zulmat ke pahre-dār haiñ
rahmatoñ kī ham pe bārish to karo
mashwara dene ki koshish to karo
mere haq mein koi sazish to karo
jab kisi mahfil mein mera zikr ho
chup raho itni nawazish to karo
mera kahna harf-e-aKHir bhi nahin
meri mano aazmaish to karo
KHud-satai shewa-e-iblis hai
nazr-e-haq harf-e-sataish to karo
chaar-su zulmat ke pahre-dar hain
rahmaton ki hum pe barish to karo
- Book : Lafz Lafz Noha (Pg. 41)
- Author : MOHD.FAROOQ NAZKI
- Publication : Tabish PublicationsM, Srinagar (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.