mashwara hai ye behtari ke liye
mashvara hai ye behtarī ke liye
ham bichhaḌ jaate haiñ abhī ke liye
pyaas le jaatī hai nadī kī taraf
koī jaatā nahīñ nadī ke liye
zindagī kī maiñ kar rahā thā class
bas register meñ hāzirī ke liye
aap dīvār kah rahe haiñ jise
rāsta hai vo chhipkalī ke liye
qais ne merī pairvī kī hai
dasht-o-sahrā meñ naukrī ke liye
niil se pahle chāñd par maujūd
ek buḌhiyā thī muḳhbirī ke liye
mashwara hai ye behtari ke liye
hum bichhaD jate hain abhi ke liye
pyas le jati hai nadi ki taraf
koi jata nahin nadi ke liye
zindagi ki main kar raha tha class
bas register mein haziri ke liye
aap diwar kah rahe hain jise
rasta hai wo chhipkali ke liye
qais ne meri pairwi ki hai
dasht-o-sahra mein naukri ke liye
nil se pahle chand par maujud
ek buDhiya thi muKHbiri ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.