masiha aa ke baalin par jo ro jae to ro jae
masīhā aa ke bālīñ par jo ro jaa.e to ro jaa.e
nasība jaag kar apnā jo so jaa.e to so jaa.e
mujhe parvā na achchhe kī burā.ī kā na ḳhatra hai
mirā dil tere hāthoñ se jo kho jaa.e to kho jaa.e
na jiine kī ḳhushī mujh ko na marne kā alam kuchh hai
jo honā hai muqaddar meñ vo ho jaa.e to ho jaa.e
raqīb-e-rū-siyah se hai abas ummīd nekī kī
koī kāñTā mire haq meñ jo bo jaa.e to bo jaa.e
na kī kuchh qadr jiite jī vo pachhtātā hai marne par
mirī turbat pe ab aa kar jo ro jaa.e to ro jaa.e
mire ashk-e-nadāmat se 'hayā' mujh ko yaqīñ hai ye
gunah jo kuchh huā mujh se vo dho jaa.e to dho jaa.e
masiha aa ke baalin par jo ro jae to ro jae
nasiba jag kar apna jo so jae to so jae
mujhe parwa na achchhe ki burai ka na KHatra hai
mera dil tere hathon se jo kho jae to kho jae
na jine ki KHushi mujh ko na marne ka alam kuchh hai
jo hona hai muqaddar mein wo ho jae to ho jae
raqib-e-ru-siyah se hai abas ummid neki ki
koi kanTa mere haq mein jo bo jae to bo jae
na ki kuchh qadr jite ji wo pachhtata hai marne par
meri turbat pe ab aa kar jo ro jae to ro jae
mere ashk-e-nadamat se 'haya' mujh ko yaqin hai ye
gunah jo kuchh hua mujh se wo dho jae to dho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.