masiha ki nazar mayus bimaron se uljhi hai
masīhā kī nazar māyūs bīmāroñ se uljhī hai
qayāmat-kun shikasta-hāl dīvāroñ se uljhī hai
tirī duniyā kā yā-rab kyā bigāḌā hai ġharīboñ ne
tirī duniyā bhī ham taqdīr ke māroñ se uljhī hai
hamārī zindagī kyā hai jahān-e-ranj-o-rāhat hai
kabhī phūloñ se lipTī hai kabhī ḳhāroñ se uljhī hai
ye shāyad āḳhirī ik marhala hai āzmā.ish kā
mohabbat aaj apne nāz-bardāroñ se uljhī hai
na zauq-e-dīd hai baaqī na unvān-e-talab 'anjum'
nazar kis bekasī meñ shoḳh nazzāroñ se uljhī hai
masiha ki nazar mayus bimaron se uljhi hai
qayamat-kun shikasta-haal diwaron se uljhi hai
teri duniya ka ya-rab kya bigaDa hai gharibon ne
teri duniya bhi hum taqdir ke maron se uljhi hai
hamari zindagi kya hai jahan-e-ranj-o-rahat hai
kabhi phulon se lipTi hai kabhi KHaron se uljhi hai
ye shayad aaKHiri ek marhala hai aazmaish ka
mohabbat aaj apne naz-bardaron se uljhi hai
na zauq-e-did hai baqi na unwan-e-talab 'anjum'
nazar kis bekasi mein shoKH nazzaron se uljhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.