masjid ka hai KHayal KHarabaat ka KHayal
masjid kā hai ḳhayāl ḳharābāt kā ḳhayāl
vo rind huuñ ki hai mujhe auqāt kā ḳhayāl
barsāt meñ hai tauba-o-tā.āt kā ḳhayāl
tauba ke saath saath hai barsāt kā ḳhayāl
shab ko vahī hai ḳhvāb-e-pareshāñ jo din meñ thā
din ho gayā to mujh ko vahī raat kā ḳhayāl
ālī-dimāġh huuñ tirī zulfeñ haiñ haath meñ
sau haath kā kaleja hai so haat kā ḳhayāl
zāhid raheñ janāb ḳhayāl-e-iram se ḳhush
ārām meñ hai qibla-e-hājāt kā ḳhayāl
ai shoḳh chāhtā hai safā.ī ye ḳhatt-e-sabz
muusā ko hai ḳhizar kī mulāqāt kā ḳhayāl
bose diye haiñ aap ne to le ke naqd-e-dil
sadqe kā dhyān thā mujhe ḳhairāt kā ḳhayāl
umr-e-guzishta chāhiye taa.at ke vāste
ham kyoñ kareñ talāfī-e-māfāt kā ḳhayāl
tum ḳhuub jānte ho samajhte ho kyā kahūñ
jis raat kā ḳhayāl hai jis baat kā ḳhayāl
jām-o-kabāb-o-mai gul-o-gul-rū-o-māh-o-bāġh
barsāt meñ zarūr hai in saat kā ḳhayāl
palle meñ bāñdh le dil-e-'rāsiḳh' payāmbar
un ke liye hai gar tujhe sauġhāt kā ḳhayāl
masjid ka hai KHayal KHarabaat ka KHayal
wo rind hun ki hai mujhe auqat ka KHayal
barsat mein hai tauba-o-taat ka KHayal
tauba ke sath sath hai barsat ka KHayal
shab ko wahi hai KHwab-e-pareshan jo din mein tha
din ho gaya to mujh ko wahi raat ka KHayal
aali-dimagh hun teri zulfen hain hath mein
sau hath ka kaleja hai so hat ka KHayal
zahid rahen janab KHayal-e-iram se KHush
aaram mein hai qibla-e-hajat ka KHayal
ai shoKH chahta hai safai ye KHatt-e-sabz
musa ko hai KHizar ki mulaqat ka KHayal
bose diye hain aap ne to le ke naqd-e-dil
sadqe ka dhyan tha mujhe KHairaat ka KHayal
umr-e-guzishta chahiye taat ke waste
hum kyon karen talafi-e-mafat ka KHayal
tum KHub jaante ho samajhte ho kya kahun
jis raat ka KHayal hai jis baat ka KHayal
jam-o-kabab-o-mai gul-o-gul-ru-o-mah-o-bagh
barsat mein zarur hai in sat ka KHayal
palle mein bandh le dil-e-'rasiKH' payambar
un ke liye hai gar tujhe saughat ka KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.