masjid-o-mandir ka yun jhagDa miTana chahiye
masjid-o-mandir kā yuuñ jhagḌā miTānā chāhiye
is zamīñ par pyaar kā ik ghar banānā chāhiye
maz.haboñ meñ kyā likhā hai ye batānā chāhiye
us ko giitā aur use qur.āñ paḌhānā chāhiye
vo dīvālī ho ke baisākhī ho christmas ho ke iid
mulk kī har qaum ko mil kar manānā chāhiye
dosto is se baḌī koī ibādat hī nahīñ
aadmī ko aadmī ke kaam aanā chāhiye
kaun se maz.hab meñ likkhā hai ki nafrat dharm hai
mil ke is duniyā se nafrat ko miTānā chāhiye
chāhte hai jo ka.ī TukḌoñ meñ is ko bāñTanā
aise ġhaddāroñ se bhārat ko bachānā chāhiye
masjid-o-mandir ka yun jhagDa miTana chahiye
is zamin par pyar ka ek ghar banana chahiye
mazhabon mein kya likha hai ye batana chahiye
us ko gita aur use quran paDhana chahiye
wo diwali ho ke baisakhi ho christmas ho ke id
mulk ki har qaum ko mil kar manana chahiye
dosto is se baDi koi ibaadat hi nahin
aadmi ko aadmi ke kaam aana chahiye
kaun se mazhab mein likkha hai ki nafrat dharm hai
mil ke is duniya se nafrat ko miTana chahiye
chahte hai jo kai TukDon mein is ko banTana
aise ghaddaron se bhaarat ko bachana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.