masKH alfaz ko jaise ho maani darkar
masḳh alfāz ko jaise ho ma'ānī darkār
merī rūdād ko hai ek kahānī darkār
mujh meñ maiñ huuñ yā koī aur hai shāmil mujh meñ
ab mirī zaat ko hai koī nishānī darkār
koī parchhā.ī haTā.e ki girānī hai bahut
jism-e-ḳhasta ko hai ab naql-e-makānī darkār
kyā 'ajab hai ki samundar hai jahāñ āb-e-hayāt
tishna-lab ko hai usī paanī meñ paanī darkār
kuchh ziyāda hī qarīñ hai vo chhurī shah-rag se
aur rag rag meñ lahū ko hai ravānī darkār
is se pahle ki koī ḳhvāb dhuāñ ho jaa.e
chashm-e-tar ko hai mire ashk-fishānī darkār
masKH alfaz ko jaise ho ma'ani darkar
meri rudad ko hai ek kahani darkar
mujh mein main hun ya koi aur hai shamil mujh mein
ab meri zat ko hai koi nishani darkar
koi parchhai haTae ki girani hai bahut
jism-e-KHasta ko hai ab naql-e-makani darkar
kya 'ajab hai ki samundar hai jahan aab-e-hayat
tishna-lab ko hai usi pani mein pani darkar
kuchh ziyaada hi qarin hai wo chhuri shah-rag se
aur rag rag mein lahu ko hai rawani darkar
is se pahle ki koi KHwab dhuan ho jae
chashm-e-tar ko hai mere ashk-fishani darkar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.