maslahat harf-e-sadaqat pe na Dale rakhna
maslahat harf-e-sadāqat pe na Daale rakhnā
tum añdheroñ meñ chhupā kar na ujāle rakhnā
jo bhī aa.egā ḳhudā.ī kī sanad māñgegā
kuchh na.e daur kī ḳhātir bhī havāle rakhnā
mauj kahtī hai ki maiñ sar se guzar jā.ūñgī
dil kā farmān ki patvār sañbhāle rakhnā
rafta-e-sail-e-balā huuñ ye mirī aadat hai
apnī kashtī kisī girdāb meñ Daale rakhnā
us qabīle se huuñ maiñ jis kā ye dastūr hai 'saif'
qatl-gāhoñ meñ alam apne sañbhāle rakhnā
maslahat harf-e-sadaqat pe na Dale rakhna
tum andheron mein chhupa kar na ujale rakhna
jo bhi aaega KHudai ki sanad mangega
kuchh nae daur ki KHatir bhi hawale rakhna
mauj kahti hai ki main sar se guzar jaungi
dil ka farman ki patwar sanbhaale rakhna
rafta-e-sail-e-bala hun ye meri aadat hai
apni kashti kisi girdab mein Dale rakhna
us qabile se hun main jis ka ye dastur hai 'saif'
qatl-gahon mein alam apne sanbhaale rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.