maslahat ke liye ab sar na jhukaya jae
maslahat ke liye ab sar na jhukāyā jaa.e
dil na milte hoñ to kyoñ haath milāyā jaa.e
kaif-āvar hai bahut un se bichhaḌ kar milnā
aur ik baar bichhaḌ kar unheñ paayā jaa.e
ham añdheroñ hī meñ sahrā kā safar kar leñge
raushnī ke liye ḳhema na jalāyā jaa.e
shajar-e-zabt se Tapke na samar aañsū kā
ehtirāman use palkoñ pe sajāyā jaa.e
chāñdnī chāñd mahak phuul shafaq rañg-e-gulāb
aur kis naam se ab un ko bulāyā jaa.e
jaane us paar ke hālāt hoñ kaise ab ke
kashtiyoñ ko sar-e-sāhil na jalāyā jaa.e
so rahā ho koī to us ko jagā.eñ 'fārūq'
jāgtā ho jo use kaise jagāyā jaa.e
maslahat ke liye ab sar na jhukaya jae
dil na milte hon to kyon hath milaya jae
kaif-awar hai bahut un se bichhaD kar milna
aur ek bar bichhaD kar unhen paya jae
hum andheron hi mein sahra ka safar kar lenge
raushni ke liye KHema na jalaya jae
shajar-e-zabt se Tapke na samar aansu ka
ehtiraman use palkon pe sajaya jae
chandni chand mahak phul shafaq rang-e-gulab
aur kis nam se ab un ko bulaya jae
jaane us par ke haalat hon kaise ab ke
kashtiyon ko sar-e-sahil na jalaya jae
so raha ho koi to us ko jagaen 'faruq'
jagta ho jo use kaise jagaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.