maslak-e-ishq mein jaez hai jafa rahne de
maslak-e-ishq mein jaez hai jafa rahne de
Syed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
MORE BYSyed Ghafir Rizvi Falak Chhaulsi
maslak-e-ishq meñ jaa.ez hai jafā rahne de
mujh ko mahbūb kī chaukhaT pe paḌā rahne de
ālam-e-naza.a meñ saaya ho ghanī zulfoñ kā
apne chehra pe nigāhoñ ko jamā rahne de
ham ne kāñToñ se nikālā hai adab ko zālim
halqa-e-zauq ko phūloñ se sajā rahne de
terī nazroñ se chalā tiir lagā hai dil par
is bahāne hī sahī phuul khilā rahne de
naam lenā bhī hai dūbhar ye vafā kaisī hai
shaaq hai dil pe bahut aisī sazā rahne de
mere zaḳhmoñ kā mudāvā hai duā.eñ terī
kam se kam naam hī hoñToñ pe sajā rahne de
terī muskān meñ pinhāñ hai hamārī hastī
apne hoñToñ pe tabassum ko zarā rahne de
aks āñkhoñ meñ basāne kī ijāzat de de
apnī yādoñ kā diyā dil meñ jalā rahne de
dosh-e-makkār uThā.e jo janāza merā
is se behtar hai ki maqtal meñ paḌā rahne de
mashrab-e-dīd kā shaidā.ī 'falak kahtā hai
jām-e-ulfat meñ tamannā ko milā rahne de
maslak-e-ishq mein jaez hai jafa rahne de
mujh ko mahbub ki chaukhaT pe paDa rahne de
aalam-e-naza mein saya ho ghani zulfon ka
apne chehra pe nigahon ko jama rahne de
hum ne kanTon se nikala hai adab ko zalim
halqa-e-zauq ko phulon se saja rahne de
teri nazron se chala tir laga hai dil par
is bahane hi sahi phul khila rahne de
nam lena bhi hai dubhar ye wafa kaisi hai
shaq hai dil pe bahut aisi saza rahne de
mere zaKHmon ka mudawa hai duaen teri
kam se kam nam hi honTon pe saja rahne de
teri muskan mein pinhan hai hamari hasti
apne honTon pe tabassum ko zara rahne de
aks aankhon mein basane ki ijazat de de
apni yaadon ka diya dil mein jala rahne de
dosh-e-makkar uThae jo janaza mera
is se behtar hai ki maqtal mein paDa rahne de
mashrab-e-did ka shaidai 'falak kahta hai
jam-e-ulfat mein tamanna ko mila rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.