masruf apne aap mein rahta hai har ghaDi
masrūf apne aap meñ rahtā hai har ghaḌī
dil ye hamārā aur kī suntā nahīñ kabhī
pahroñ yahī maiñ baiTh ke bas dekhtī rahī
kyā kuchh bayān kartī hai ik train dauḌtī
ḳhvāhish thī āsmāñ se zamīñ dekhtī magar
ik laḌkī ek ghar kī rasoī meñ rah ga.ī
afsos vo daraḳht bhī ik dam se gir gayā
mahfūz jis ke saa.e meñ maiñ har ghaḌī rahī
duniyā samajh rahī hai isī ko pa asl meñ
pinjre meñ umr kaT rahī hai ‘andalīb’ kī
masruf apne aap mein rahta hai har ghaDi
dil ye hamara aur ki sunta nahin kabhi
pahron yahi main baiTh ke bas dekhti rahi
kya kuchh bayan karti hai ek train dauDti
KHwahish thi aasman se zamin dekhti magar
ek laDki ek ghar ki rasoi mein rah gai
afsos wo daraKHt bhi ek dam se gir gaya
mahfuz jis ke sae mein main har ghaDi rahi
duniya samajh rahi hai isi ko pa asl mein
pinjre mein umr kaT rahi hai ‘andalib’ ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.