masruf rahguzar pe chala ja raha tha main
masrūf rahguzar pe chalā jā rahā thā maiñ
phir kyuuñ lagā ki sab se judā jā rahā thā maiñ
ta.amīr-e-zāt hī meñ lagī zindagī tamām
ḳhāliq banā rahā thā banā jā rahā thā maiñ
hāsil thiiñ jin ko rāhateñ vo bhī fanā hue
kyuuñ apnī muflisī se Darā jā rahā thā maiñ
dariyā-e-zīst kī yahī manzil thī āḳhirī
ik bahr-e-be-karāñ meñ girā jā rahā thā maiñ
samjhā thā aa.ine meñ mirā aks hī nahīñ
zāhir thā aur sab se chhupā jā rahā thā maiñ
pahle to kū-e-yār kī phir daar kī talab
daldal meñ ḳhvāhishoñ kī dhañsā jā rahā thā maiñ
maiñ gard-e-rāh thā magar e.ajāz dekhiye
har kārvāñ ke saath uḌā jā rahā thā maiñ
rukne meñ Dar ye thā ki tavāzun bigaḌ na jaa.e
'ādil' isī gumāñ meñ chalā jā rahā thā maiñ
masruf rahguzar pe chala ja raha tha main
phir kyun laga ki sab se juda ja raha tha main
tamir-e-zat hi mein lagi zindagi tamam
KHaliq bana raha tha bana ja raha tha main
hasil thin jin ko rahaten wo bhi fana hue
kyun apni muflisi se Dara ja raha tha main
dariya-e-zist ki yahi manzil thi aaKHiri
ek bahr-e-be-karan mein gira ja raha tha main
samjha tha aaine mein mera aks hi nahin
zahir tha aur sab se chhupa ja raha tha main
pahle to ku-e-yar ki phir dar ki talab
daldal mein KHwahishon ki dhansa ja raha tha main
main gard-e-rah tha magar eajaz dekhiye
har karwan ke sath uDa ja raha tha main
rukne mein Dar ye tha ki tawazun bigaD na jae
'adil' isi guman mein chala ja raha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.