mast ankhiyan ka dekh dumbaala
mast añkhiyāñ kā dekh dumbāla
dil mirā ho gayā hai matvālā
lab tire la.al haiñ badaḳhshāñ ke
daañt tere haiñ luulū ai laala
dekh gulshan meñ ātishīñ ruḳhsār
daaġh ho jal gayā gul-e-lāla
ashk dariyā naman nayan siiñ chaleñ
jab karūñ dard-e-dil satī naala
bar meñ 'yakrū' ke kyuuñ na aayā haa.e
de gayā mujh kuuñ sarv-qad baalā
mast ankhiyan ka dekh dumbaala
dil mera ho gaya hai matwala
lab tere lal hain badaKHshan ke
dant tere hain lulu ai lala
dekh gulshan mein aatishin ruKHsar
dagh ho jal gaya gul-e-lala
ashk dariya naman nayan sin chalen
jab karun dard-e-dil sati nala
bar mein 'yakru' ke kyun na aaya hae
de gaya mujh kun sarw-qad baala
- Book : diwan-e-yakro (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.