mast hum ko sharab mein rahna
mast ham ko sharāb meñ rahnā
kuchh ho is sair-e-āb meñ rahnā
abhī to kuchh niiñ kiyā hai ġhusse ho
yūñhī yūñhī itaab meñ rahnā
aur se be-hijābiyāñ karnā
ek ham se hijāb meñ rahnā
tujh bin ai sham.a-rū mujhe har shab
sho.ala sā iztirāb meñ rahnā
yaad meñ us kī zulf kī ai dil
kab ta.iiñ pech-o-tāb meñ rahnā
kuchh tanabboh tujhe nahīñ ab tak
naam 'bedār' ḳhvāb meñ rahnā
mast hum ko sharab mein rahna
kuchh ho is sair-e-ab mein rahna
abhi to kuchh nin kiya hai ghusse ho
yunhi yunhi itab mein rahna
aur se be-hijabiyan karna
ek hum se hijab mein rahna
tujh bin ai shama-ru mujhe har shab
shoala sa iztirab mein rahna
yaad mein us ki zulf ki ai dil
kab tain pech-o-tab mein rahna
kuchh tanabboh tujhe nahin ab tak
nam 'bedar' KHwab mein rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.