mast nazron ka iltifat na puchh
mast nazroñ kā iltifāt na pūchh
jhuum uThī dil kī kā.enāt na pūchh
apnī nazroñ kī kaifiyāt na pūchh
muskurā dī mirī hayāt na pūchh
ishq meñ har qadam hai ik manzil
rāh-e-ulfat kī mushkilāt na pūchh
maiñ huuñ aur aap kā tasavvur hai
ab mirī raunaq-e-hayāt na pūchh
jaise har lahza dekhte ho mujhe
mirī mashq-e-tasavvurāt na pūchh
harf-e-matlab zabāñ pe lā na sakā
dil meñ ab tak hai dil kī baat na pūchh
hijr kā haal kyā batā.eñ 'vaqār'
kaise din guzrā kaise raat na pūchh
mast nazron ka iltifat na puchh
jhum uThi dil ki kaenat na puchh
apni nazron ki kaifiyat na puchh
muskura di meri hayat na puchh
ishq mein har qadam hai ek manzil
rah-e-ulfat ki mushkilat na puchh
main hun aur aap ka tasawwur hai
ab meri raunaq-e-hayat na puchh
jaise har lahza dekhte ho mujhe
meri mashq-e-tasawwuraat na puchh
harf-e-matlab zaban pe la na saka
dil mein ab tak hai dil ki baat na puchh
hijr ka haal kya bataen 'waqar'
kaise din guzra kaise raat na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.