mast nazron se pilao to koi baat bane
mast nazroñ se pilāo to koī baat bane
aag siine meñ lagāo to koī baat bane
ek do jaam se barsāt meñ kyā bantā hai
aaj mai-ḳhāna luTāo to koī baat bane
nashsha hai ek taraf rang kaho ḳhaak jame
ḳhud piyo aur pilāo to koī baat bane
husn parde meñ rahe aur ho jaadū ham par
haañ zarā sāmne aao to koī baat bane
ruuTh kar rūThe hī rahnā to koī baat nahīñ
ruuTh kar maan bhī jaao to koī baat bane
rang phīkā nazar aaya to kahā mahfil meñ
jaao 'tālib' ko bulāo to koī baat bane
mast nazron se pilao to koi baat bane
aag sine mein lagao to koi baat bane
ek do jam se barsat mein kya banta hai
aaj mai-KHana luTao to koi baat bane
nashsha hai ek taraf rang kaho KHak jame
KHud piyo aur pilao to koi baat bane
husn parde mein rahe aur ho jadu hum par
han zara samne aao to koi baat bane
ruTh kar ruThe hi rahna to koi baat nahin
ruTh kar man bhi jao to koi baat bane
rang phika nazar aaya to kaha mahfil mein
jao 'talib' ko bulao to koi baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.