mast-o-be-KHud tere mai-KHane ka baam-o-dar bane
mast-o-be-KHud tere mai-KHane ka baam-o-dar bane
Khushi Mohammad Naazir
MORE BYKhushi Mohammad Naazir
mast-o-be-ḳhud tere mai-ḳhāne kā bām-o-dar bane
sāqiyā gar terī chashm-e-mast kā sāġhar bane
hirs ke sahrā meñ jo jhoñkā chale sar sar bane
ishq ke dariyā meñ jo qatra gire gauhar bane
but bane ka.aba banā masjid banī mandar bane
ishq kī duniyā meñ kyā kyā dilrubā manzar bane
dars-e-ibrat daur-e-daurāñ meñ hai bazm-e-mai-kada
mai-kashoñ kī ḳhaak se kyā kyā ḳhum-o-sāġhar bane
kyā ajab is ḳhāk-dāñ ke hoñ kabhī chashm-o-charāg
jā ke auj-e-āsmāñ par jo mah-o-aḳhtar bane
be-e-gudāz-e-ishq rañg-e-husn bhī khultā nahīñ
ishq ke sāñche meñ Dhal kar nuur kā paikar bane
dil ke vīrāne meñ kyā kyā hasrateñ ābād haiñ
raah meñ sail-e-fanā kī kaise kaise ghar bane
ai shah-e-kaunain dar par ġhair ke jhuktā nahīñ
tere sañg-e-āstāñ ke vāste jo sar bane
phir bahār aa.ī chaman meñ phir uThā josh-e-junūñ
phir sar-e-shorīda kī ḳhātir na.e patthar bane
fasl-e-gul hai bāġhbāñ ab ruḳhsat-e-parvāz hai
ab to tinke āshiyāñ ke mere bāl-o-par bane
banda-e-'nāzir' bhī hāzir tere mai-ḳhvāroñ meñ ho
ai shah-e-laulāk jab tū sāqī-e-kausar bane
mast-o-be-KHud tere mai-KHane ka baam-o-dar bane
saqiya gar teri chashm-e-mast ka saghar bane
hirs ke sahra mein jo jhonka chale sar sar bane
ishq ke dariya mein jo qatra gire gauhar bane
but bane kaba bana masjid bani mandar bane
ishq ki duniya mein kya kya dilruba manzar bane
dars-e-ibrat daur-e-dauran mein hai bazm-e-mai-kada
mai-kashon ki KHak se kya kya KHum-o-saghar bane
kya ajab is KHak-dan ke hon kabhi chashm-o-charag
ja ke auj-e-asman par jo mah-o-aKHtar bane
be-e-gudaz-e-ishq rang-e-husn bhi khulta nahin
ishq ke sanche mein Dhal kar nur ka paikar bane
dil ke virane mein kya kya hasraten aabaad hain
rah mein sail-e-fana ki kaise kaise ghar bane
ai shah-e-kaunain dar par ghair ke jhukta nahin
tere sang-e-astan ke waste jo sar bane
phir bahaar aai chaman mein phir uTha josh-e-junun
phir sar-e-shorida ki KHatir nae patthar bane
fasl-e-gul hai baghban ab ruKHsat-e-parwaz hai
ab to tinke aashiyan ke mere baal-o-par bane
banda-e-'nazir' bhi hazir tere mai-KHwaron mein ho
ai shah-e-laulak jab tu saqi-e-kausar bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.