masti-bhari wo sham suhani uTha ke la
mastī-bharī vo shaam suhānī uThā ke lā
jā mai-kade se merī javānī uThā ke lā
dil kī umang vasl kī ḳhushbū ke vāste
bāġh-e-vafā se raat kī raanī uThā ke lā
bātil se tujh ko ma.arka karnā hai gar yahāñ
chhoḌī huī salaf kī nishānī uThā ke lā
ai bulbul-e-chaman tujhe shohrat jo chāhiye
jā us ke lab kī shoḳh-bayānī uThā ke lā
dīvār-e-dil kī shaan baḌhāne ke vāste
tasvīr us kī koī purānī uThā ke lā
mahfil meñ hoñgī terī pazīrā.iyāñ bahut
'jāzil' tū apnī guzrī kahānī uThā ke lā
masti-bhari wo sham suhani uTha ke la
ja mai-kade se meri jawani uTha ke la
dil ki umang wasl ki KHushbu ke waste
bagh-e-wafa se raat ki rani uTha ke la
baatil se tujh ko marka karna hai gar yahan
chhoDi hui salaf ki nishani uTha ke la
ai bulbul-e-chaman tujhe shohrat jo chahiye
ja us ke lab ki shoKH-bayani uTha ke la
diwar-e-dil ki shan baDhane ke waste
taswir us ki koi purani uTha ke la
mahfil mein hongi teri paziraiyan bahut
'jazil' tu apni guzri kahani uTha ke la
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.