mat dikhao hausle tufan guzar jaane ke baad
mat dikhāo hausle tūfāñ guzar jaane ke baa'd
mar gayā hai aadmī duniyā meñ Dar jaane ke baa'd
vaqt se tohfe meñ maiñ ne tajraba paayā nahīñ
zindagī ko jaan paayā huuñ bikhar jaane ke baa'd
dushmanoñ se jang meñ mumkin hai bach jaa.eñ magar
bach nahīñ sakte haiñ ham ummīd mar jaane ke baa'd
kaash aa jaa.e mujhe aañsū chhupāne kā hunar
dard ho jaatā hai zāhir aañkh bhar jaane ke baa'd
dhīre dhīre ban gayā ik ajnabī se āshnā
vo mire dil ke nasheman meñ Thahar jaane ke baa'd
aabrū ulfat vafā ḳhushiyāñ ta'alluq dostī
kuchh nahīñ bachtā hai nazroñ se utar jaane ke baa'd
mat dikhao hausle tufan guzar jaane ke ba'd
mar gaya hai aadmi duniya mein Dar jaane ke ba'd
waqt se tohfe mein main ne tajraba paya nahin
zindagi ko jaan paya hun bikhar jaane ke ba'd
dushmanon se jang mein mumkin hai bach jaen magar
bach nahin sakte hain hum ummid mar jaane ke ba'd
kash aa jae mujhe aansu chhupane ka hunar
dard ho jata hai zahir aankh bhar jaane ke ba'd
dhire dhire ban gaya ek ajnabi se aashna
wo mere dil ke nasheman mein Thahar jaane ke ba'd
aabru ulfat wafa KHushiyan ta'alluq dosti
kuchh nahin bachta hai nazron se utar jaane ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.