Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mat ghazab kar chhoD de ghussa sajan

Abroo Shah Mubarak

mat ghazab kar chhoD de ghussa sajan

Abroo Shah Mubarak

MORE BYAbroo Shah Mubarak

    mat ġhazab kar chhoḌ de ġhussa sajan

    aa judā.ī ḳhuub na.iiñ mil sajan

    be-diloñ uzr-ḳhvāhī maan le

    jo ki honā thā so ho guzrā sajan

    tum sivā ham kuuñ kahīñ jaagā nahīñ

    pas laḌo mat ham setī bejā sajan

    mar ga.e ġham siiñ tumhāre ham piyā

    kab talak ye ḳhūn-e-ġham khānā sajan

    jo lage ab kāTne iḳhlās ke

    kyā yahī thā pyaar samrā sajan

    chhoḌ tum kuuñ aur kis señ ham mileñ

    kaun hai duniyā meñ kui tum sajan

    paañv paḌtā huuñ tumhāre rahm ko

    baat merī maan le haahā sajan

    tañg rahnā kab talak ġhunche tarah

    phuul ke mānind Tuk khul sajan

    'ābrū' kuuñ kho ke pachhtāoge tum

    ham ko lāzim hai atā kahnā sajan

    mat ghazab kar chhoD de ghussa sajan

    aa judai KHub nain mil ja sajan

    be-dilon ki uzr-KHwahi man le

    jo ki hona tha so ho guzra sajan

    tum siwa hum kun kahin jaga nahin

    pas laDo mat hum seti beja sajan

    mar gae gham sin tumhaare hum piya

    kab talak ye KHun-e-gham khana sajan

    jo lage ab kaTne iKHlas ke

    kya yahi tha pyar ka samra sajan

    chhoD tum kun aur kis sen hum milen

    kaun hai duniya mein kui tum sa sajan

    panw paDta hun tumhaare rahm ko

    baat meri man le haha sajan

    tang rahna kab talak ghunche ki tarah

    phul ke manind Tuk khul ja sajan

    'abru' kun kho ke pachhtaoge tum

    hum ko lazim hai ata kahna sajan

    Source :
    • Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 180)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now