mat ghusse ke shole sun jalte kun jalati ja
mat ġhusse ke sho'le suuñ jalte kuuñ jalātī jā
Tuk mehr ke paanī suuñ tū aag bujhātī jā
tujh chaal kī qīmat suuñ dil na.iñ hai mirā vāqif
ai maan bharī chanchal Tuk bhaav batātī jā
is raat añdhārī meñ mat bhuul paḌūñ tujh suuñ
Tuk paañv ke jhāñjhar kī jhankār sunātī jā
mujh dil ke kabūtar kuuñ bāñdhā hai tirī laT ne
ye kaam dharam kā hai Tuk is ko chhuḌātī jā
tujh mukh kī parastish meñ ga.ī 'umr mirī saarī
ai but kī pujan-hārī Tuk is ko pujātī jā
tujh 'ishq meñ jal-jal kar sab tan kuuñ kiyā kājal
ye raushnī-afzā hai añkhiyāñ ko lagātī jā
tujh neh meñ dil jal-jal jogī kī liyā sūrat
yak-bār ise mohan chhātī suuñ lagātī jā
tujh ghar kī taraf sundar aatā hai 'valī' daa.im
mushtāq daras kā hai Tuk dars dikhātī jā
mat ghusse ke sho'le sun jalte kun jalati ja
Tuk mehr ke pani sun tu aag bujhati ja
tujh chaal ki qimat sun dil nain hai mera waqif
ai man bhari chanchal Tuk bhaw batati ja
is raat andhaari mein mat bhul paDun tujh sun
Tuk panw ke jhanjhar ki jhankar sunati ja
mujh dil ke kabutar kun bandha hai teri laT ne
ye kaam dharam ka hai Tuk is ko chhuDati ja
tujh mukh ki parastish mein gai 'umr meri sari
ai but ki pujan-haari Tuk is ko pujati ja
tujh 'ishq mein jal-jal kar sab tan kun kiya kajal
ye raushni-afza hai ankhiyan ko lagati ja
tujh neh mein dil jal-jal jogi ki liya surat
yak-bar ise mohan chhati sun lagati ja
tujh ghar ki taraf sundar aata hai 'wali' daim
mushtaq daras ka hai Tuk dars dikhati ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.