Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mat jhuko pur-waqar sar hai to

Shan-e-Haider Bebak Amrohvi

mat jhuko pur-waqar sar hai to

Shan-e-Haider Bebak Amrohvi

MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi

    mat jhuko pur-vaqār sar hai to

    ġham uThā lo agar jigar hai to

    ishq raah pur-ḳhatar hai to

    mat karo ishq dil meñ Dar hai to

    ye alag baat hai na pūchho tum

    mere ahvāl ḳhabar hai to

    zer-e-lab ab vo muskurāte haiñ

    merī aahoñ kuchh asar hai to

    mujh se kyoñ merā haal pūchho ho

    dekh lo ġhaur se nazar hai to

    daulat-e-ilm to hamārī hai

    kyā huā un ke paas zar hai to

    tum bhī patthar kisī pe mat pheñko

    shīshe jaisā tumhārā ghar hai to

    pyaar se pesh aao dushman se

    zer ho jā.egā zabar hai to

    lafz-e-shar to bashar meñ shāmil hai

    kyoñ ho hairāñ bashar meñ shar hai to

    Thes lagte shīsha TuuT gayā

    dāstāñ dil muḳhtasar hai to

    fikr manzil kyoñ kareñ 'bebāk'

    rāhbar apnā mo'atabar hai to

    mat jhuko pur-waqar sar hai to

    gham uTha lo agar jigar hai to

    ishq ki rah pur-KHatar hai to

    mat karo ishq dil mein Dar hai to

    ye alag baat hai na puchho tum

    mere ahwal ki KHabar hai to

    zer-e-lab ab wo muskuraate hain

    meri aahon ka kuchh asar hai to

    mujh se kyon mera haal puchho ho

    dekh lo ghaur se nazar hai to

    daulat-e-ilm to hamari hai

    kya hua un ke pas zar hai to

    tum bhi patthar kisi pe mat phenko

    shishe jaisa tumhaara ghar hai to

    pyar se pesh aao dushman se

    zer ho jaega zabar hai to

    lafz-e-shar to bashar mein shamil hai

    kyon ho hairan bashar mein shar hai to

    Thes lagte hi shisha TuT gaya

    dastan dil ki muKHtasar hai to

    fikr manzil ki kyon karen 'bebak'

    rahbar apna mo'atabar hai to

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now