mat kaT umr meri tarah KHwahishon mein dost
mat kaaT 'umr merī tarah ḳhvāhishoñ meñ dost
kachchā ghaḌā sañbhaltā nahīñ bārishoñ meñ dost
kyoñ rashk kar rahā hai tū mere nasīb par
barsoñ mirā nasīb rahā gardishoñ meñ dost
kaise kisī ke dil meñ banāte haiñ sab jagah
'umreñ tamām ho ga.iiñ in koshishoñ meñ dost
buniyād itnī TeḌhī nahīñ hotī 'ishq kī
kuchh to ḳhatā huī tirī paimā.ishoñ meñ dost
zaatī mafād ke liye mat rakhiye ranjisheñ
kitne qabīle miT ga.e in ranjishoñ meñ dost
qistoñ meñ bhar rahe haiñ unhīñ kā mu'āvza
'umreñ jo ham ne kaaTī thiiñ ārā.ishoñ meñ dost
rusvā.iyoñ ke ḳhauf se uThtā nahīñ maiñ 'dil'
ai kaash dil ko rakhtā kisī bandishoñ meñ dost
mat kaT 'umr meri tarah KHwahishon mein dost
kachcha ghaDa sanbhalta nahin barishon mein dost
kyon rashk kar raha hai tu mere nasib par
barson mera nasib raha gardishon mein dost
kaise kisi ke dil mein banate hain sab jagah
'umren tamam ho gain in koshishon mein dost
buniyaad itni TeDhi nahin hoti 'ishq ki
kuchh to KHata hui teri paimaishon mein dost
zati mafad ke liye mat rakhiye ranjishen
kitne qabile miT gae in ranjishon mein dost
qiston mein bhar rahe hain unhin ka mu'awza
'umren jo hum ne kaTi thin aaraishon mein dost
ruswaiyon ke KHauf se uThta nahin main 'dil'
ai kash dil ko rakhta kisi bandishon mein dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.