mat kah bura kisi ko jo koi bura bhi hai
mat kah burā kisī ko jo koī burā bhī hai
bande kī har ḳhatā meñ ḳhudā kī razā bhī hai
mat kar malāl is kā jo tujh ko milā nahīñ
terā hai kab talak vo jo tujh ko milā bhī hai
us kā na ronā ro tū jo tujh se hai chhin gayā
rah jā.egā yahīñ pe jo baaqī bachā bhī hai
tū bhuul kar na denā 'adū ko bhī bad-du'ā
terā hai jo ḳhudā vo 'adū kā ḳhudā bhī hai
auroñ kī tū bigāḌ ke apnī sañvār mat
jis meñ sabhī kā hai bhalā terā bhalā bhī hai
terā hī ghar jalā ho zarūrī nahīñ 'sadā'
hogā bhalā isī meñ gar aisā huā bhī hai
mat kah bura kisi ko jo koi bura bhi hai
bande ki har KHata mein KHuda ki raza bhi hai
mat kar malal is ka jo tujh ko mila nahin
tera hai kab talak wo jo tujh ko mila bhi hai
us ka na rona ro tu jo tujh se hai chhin gaya
rah jaega yahin pe jo baqi bacha bhi hai
tu bhul kar na dena 'adu ko bhi bad-du'a
tera hai jo KHuda wo 'adu ka KHuda bhi hai
auron ki tu bigaD ke apni sanwar mat
jis mein sabhi ka hai bhala tera bhala bhi hai
tera hi ghar jala ho zaruri nahin 'sada'
hoga bhala isi mein gar aisa hua bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.