mat mehr seti hath mein le dil hamare kun
mat mehr setī haath meñ le dil hamāre kuuñ
jaltā hai kyuuñ pakaḌtā hai zālim añgāre kuuñ
chehre ko chhiḌkiyāv kiyā hai añjhū niiñ yuuñ
paanī ke dhāre kāTte haiñ juuñ karāre kuuñ
ma.aqūl kyuuñ raqīb ho minnat siiñ ḳhalq kī
kui ḳhuub kar sake hai ḳhudā ke bigāḌe kuuñ
martā huuñ lag rahī hai ramaq aa daras dikhāo
jā kar kaho hamārī taraf se piyāre kuuñ
maiñ aa paḌā huuñ ishq ke zālim bhañvar meñ aaj
aisā koī nahīñ ki lagāve kināre kuuñ
siine ko abruvāñ niiñ tire yuuñ kiyā figār
taḳhte upar chalāvte haiñ jūñki aare kuuñ
apnā jamāl 'ābrū' kuuñ Tuk dikhāo aaj
muddat se aarzū hai daras kī bichāre kuuñ
mat mehr seti hath mein le dil hamare kun
jalta hai kyun pakaDta hai zalim angare kun
chehre ko chhiDkiyaw kiya hai anjhu nin yun
pani ke dhaare kaTte hain jun karare kun
maqul kyun raqib ho minnat sin KHalq ki
kui KHub kar sake hai KHuda ke bigaDe kun
marta hun lag rahi hai ramaq aa daras dikhao
ja kar kaho hamari taraf se piyare kun
main aa paDa hun ishq ke zalim bhanwar mein aaj
aisa koi nahin ki lagawe kinare kun
sine ko abruwan nin tere yun kiya figar
taKHte upar chalawte hain junki aare kun
apna jamal 'abru' kun Tuk dikhao aaj
muddat se aarzu hai daras ki bichaare kun
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 181)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.