mat meri poshak par dhabba laga
mat mirī poshāk par dhabba lagā
rang bharnā hai to phir achchhā lagā
tiir le kar bebasī ke haath se
ghaav apne haath se gahrā lagā
dostoñ ko jashn kī de kar navīd
zaḳhm ab sīdhā nahīñ tirchhā lagā
sach nazar aa jaa.e to baḳhiya udheḌ
jhuuT ko tash.hīr kā Tāñkā lagā
aatā jaatā aadmī uljhā rahe
shahr meñ to aa.ina mailā lagā
jis ke aage ho zamāna sar-nigūñ
us ke pīchhe vahm kā chītā lagā
sar kisī kā daar par laTkā 'adīm'
duur se dekhā to vo jhanDā lagā
mat meri poshak par dhabba laga
rang bharna hai to phir achchha laga
tir le kar bebasi ke hath se
ghaw apne hath se gahra laga
doston ko jashn ki de kar nawid
zaKHm ab sidha nahin tirchha laga
sach nazar aa jae to baKHiya udheD
jhuT ko tashhir ka Tanka laga
aata jata aadmi uljha rahe
shahr mein to aaina maila laga
jis ke aage ho zamana sar-nigun
us ke pichhe wahm ka chita laga
sar kisi ka dar par laTka 'adim'
dur se dekha to wo jhanDa laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.