mat puchh mere jah ko hashmat ko kya hua
mat pūchh mere jaah ko hashmat ko kyā huā
hairān ḳhud huuñ maiñ mirī qismat ko kyā huā
kyoñ dekhte hī dekhte duniyā badal ga.ī
har shai kī ek dam se ye hālat ko kyā huā
insāniyat ke shaah uḳhuvvat ke tājvar
in sab ke husn-e-ḳhulq kī aadat ko kyā huā
us ke ḳhisāl-e-nek kā shohra thā chaar sū
ab is hayā-o-sharm ko ġhairat ko kyā huā
laate the chun ke log aqīdat ke phuul jo
na jaane aaj un kī aqīdat ko kyā huā
milte haiñ mujh se dost bhī aġhyār kī tarah
koī batā.e un kī muravvat ko kyā huā
'mohsin' kabhī jo kartā thā mujh pe nisār jaañ
ab sochtā huuñ us kī mohabbat ko kyā huā
mat puchh mere jah ko hashmat ko kya hua
hairan KHud hun main meri qismat ko kya hua
kyon dekhte hi dekhte duniya badal gai
har shai ki ek dam se ye haalat ko kya hua
insaniyat ke shah uKHuwwat ke tajwar
in sab ke husn-e-KHulq ki aadat ko kya hua
us ke KHisal-e-nek ka shohra tha chaar su
ab is haya-o-sharm ko ghairat ko kya hua
late the chun ke log aqidat ke phul jo
na jaane aaj un ki aqidat ko kya hua
milte hain mujh se dost bhi aghyar ki tarah
koi batae un ki murawwat ko kya hua
'mohsin' kabhi jo karta tha mujh pe nisar jaan
ab sochta hun us ki mohabbat ko kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.