Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mat puchh tu jaane de ahwal ko furqat ke

Meer Mohammadi Bedar

mat puchh tu jaane de ahwal ko furqat ke

Meer Mohammadi Bedar

MORE BYMeer Mohammadi Bedar

    mat pūchh jaane de ahvāl ko furqat ke

    jis taur kaTe kaaTe ayyām musībat ke

    meñ hai dikhā diije yak roz tire qad ko

    jo shaḳhs ki munkir haiñ ai yaar qayāmat ke

    kahtā huuñ ġhalat tujh se maiñ dil ko chhuḌā.ūñgā

    chhuTte haiñ kahīñ pyāre bāñdhe hue ulfat ke

    qasr-o-mahal-e-mun.im tujh ko mubārak hoñ

    baiThe haiñ ham āsūda goshe meñ qanā.at ke

    bedār chhupā.e se chhupte haiñ koī tere

    chehre se numāyāñ haiñ āsār mohabbat ke

    mat puchh tu jaane de ahwal ko furqat ke

    jis taur kaTe kaTe ayyam musibat ke

    ji mein hai dikha dije yak roz tere qad ko

    jo shaKHs ki munkir hain ai yar qayamat ke

    kahta hun ghalat tujh se main dil ko chhuDaunga

    chhuTte hain kahin pyare bandhe hue ulfat ke

    qasr-o-mahal-e-munim tujh ko hi mubarak hon

    baiThe hain hum aasuda goshe mein qanaat ke

    bedar chhupae se chhupte hain koi tere

    chehre se numayan hain aasar mohabbat ke

    Source :
    • Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 108)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now