mat puchhiye kya jitne nikla tha main ghar se
mat pūchhiye kyā jītne niklā thā maiñ ghar se
mat pūchhiye kyā haar ke lauTā huuñ safar se
kuchh maiñ bhī girāñ-gosh thā sun hī nahīñ paayā
kuchh vaqt bhī guzrā hai dabe paañv idhar se
kal raat bhī thā chaudhvīñ kā chāñd falak par
kal raat bhī ik qāfila niklā thā khañDar se
ik abr kā TukḌā hai parinda hai ki tū hai
ye kaun hai jo roz guzartā hai idhar se
kyā jaane mujhe taḳht-e-sulaimāñ kahāñ le jaa.e
jhapkī hī nahīñ aañkh mirī ḳhvāb ke Dar se
dekhā to kisī aañkh meñ hairat bhī nahīñ thī
ḳhālī thā mirā khel bhī har kaif-o-asar se
sūraj ke ta.āqub meñ huā vo bhī tah-e-āb
ik shaḳhs 'ziyā' saath thā hangām-e-sahar se
mat puchhiye kya jitne nikla tha main ghar se
mat puchhiye kya haar ke lauTa hun safar se
kuchh main bhi giran-gosh tha sun hi nahin paya
kuchh waqt bhi guzra hai dabe panw idhar se
kal raat bhi tha chaudhwin ka chand falak par
kal raat bhi ek qafila nikla tha khanDar se
ek abr ka TukDa hai parinda hai ki tu hai
ye kaun hai jo roz guzarta hai idhar se
kya jaane mujhe taKHt-e-sulaiman kahan le jae
jhapki hi nahin aankh meri KHwab ke Dar se
dekha to kisi aankh mein hairat bhi nahin thi
KHali tha mera khel bhi har kaif-o-asar se
suraj ke taaqub mein hua wo bhi tah-e-ab
ek shaKHs 'ziya' sath tha hangam-e-sahar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.