Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mat samajhna ki sirf tu hai yahan

Wajid Ameer

mat samajhna ki sirf tu hai yahan

Wajid Ameer

MORE BYWajid Ameer

    mat samajhnā ki sirf hai yahāñ

    ek se ek ḳhūb-rū hai yahāñ

    pur hai bāzār-e-husn chehroñ se

    jaane kis kis aabrū hai yahāñ

    kaise ābād ho ye vīrāna

    vahshat-e-kizb chār-sū hai yahāñ

    aañkh putliyoñ ko ġhaur se dekh

    terī tasvīr hū-ba-hū hai yahāñ

    kaise tārīḳh likkhī jā.egī

    sirf talvār aur gulū hai yahāñ

    kahāñ hai ḳhabar nahīñ ai dost

    raat din terī guftugū hai yahāñ

    jhāñktā kaun hai girebāñ meñ

    ā.īna kis ke rū-ba-rū hai yahāñ

    maqtal-e-ārzū hai dil 'vājid'

    har tamannā lahū lahū hai yahāñ

    mat samajhna ki sirf tu hai yahan

    ek se ek KHub-ru hai yahan

    pur hai bazar-e-husn chehron se

    jaane kis kis ki aabru hai yahan

    kaise aabaad ho ye virana

    wahshat-e-kizb chaar-su hai yahan

    aankh ki putliyon ko ghaur se dekh

    teri taswir hu-ba-hu hai yahan

    kaise tariKH likkhi jaegi

    sirf talwar aur gulu hai yahan

    tu kahan hai KHabar nahin ai dost

    raat din teri guftugu hai yahan

    jhankta kaun hai gireban mein

    aaina kis ke ru-ba-ru hai yahan

    maqtal-e-arzu hai dil 'wajid'

    har tamanna lahu lahu hai yahan

    Source :
    • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 220)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now