mat tang ho kare jo falak tujhko tang-dast
mat tañg ho kare jo falak tujh ko tañg-dast
āhista khīñchiye jo dabe zer-e-sañg dast
gaahe hinā se gaah mire ḳhuuñ se surḳh ho
sau sau tarah se is ke dikhāte haiñ rañg dast
detā hai kaf se daulat-e-pā-bos sham.a kī
ro degā sar pe dhar ke phir āḳhir patañg dast
bhar aañkh tujh ko ġhair ne dekhā to phir mire
leveñge uñgliyoñ hī se kār-e-ḳhadañg dast
juz kusht-o-ḳhūn be-gunahāñ āstīñ se tū
bāhar nikāltā hai kab ai ḳhāna-jañg dast
muft us ke haath ab jo 'baqā' sā lage shikār
phir kab kare qusūr ye charḳh-e-palañg dast
mat tang ho kare jo falak tujh ko tang-dast
aahista khinchiye jo dabe zer-e-sang dast
gahe hina se gah mere KHun se surKH ho
sau sau tarah se is ke dikhate hain rang dast
deta hai kaf se daulat-e-pa-bos shama ki
ro dega sar pe dhar ke phir aaKHir patang dast
bhar aankh tujh ko ghair ne dekha to phir mere
lewenge ungliyon hi se kar-e-KHadang dast
juz kusht-o-KHun be-gunahan aastin se tu
bahar nikalta hai kab ai KHana-jang dast
muft us ke hath ab jo 'baqa' sa lage shikar
phir kab kare qusur ye charKH-e-palang dast
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.