mat uDo be-dhaDak hawaon mein
mat uḌo be-dhaḌak havāoñ meñ
zahr hī zahr hai fazāoñ meñ
be-vafāoñ meñ ho ga.e shāmil
the kabhī vo bhī bā-vafāoñ meñ
sab haiñ bechain ik jhalak ke liye
kuchh hai jaadū tirī adāoñ meñ
pyaas bujh jaa.e aaj pyāsoñ kī
zulf lahrā do ab ghaTāoñ meñ
vo hī qātil hai zindagī bhī vahī
hai asar hī kahāñ davāoñ meñ
ab 'ināyat kare to kyā vo kare
ghir ga.ī hai vo nā-ḳhudāoñ meñ
mat uDo be-dhaDak hawaon mein
zahr hi zahr hai fazaon mein
be-wafaon mein ho gae shamil
the kabhi wo bhi ba-wafaon mein
sab hain bechain ek jhalak ke liye
kuchh hai jadu teri adaon mein
pyas bujh jae aaj pyason ki
zulf lahra do ab ghaTaon mein
wo hi qatil hai zindagi bhi wahi
hai asar hi kahan dawaon mein
ab 'inayat kare to kya wo kare
ghir gai hai wo na-KHudaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.