mata-e-fikr nashat-e-amal farogh-e-hayat
matā-e-fikr nashāt-e-amal faroġh-e-hayāt
tumhārā dard tumhārī ye āḳhirī sauġhāt
harīf saarā zamāna raqīb saarā jahāñ
churā na le koī Dartā huuñ is kā rang-e-sabāt
kahāñ chhupā.ūñ use kis tarah bachā.ūñ use
charāġh ek havā tez aur añdherī raat
farāġh jism kā dil kā sukūñ nazar kā qarār
tumhāre dard ke dushman haiñ ye sabhī hālāt
maiñ us maqām pe pahuñchā huuñ in dinoñ ki jahāñ
na kāhish-e-ġham-e-daurāñ na kāvish-e-ġham-e-zāt
bas ik ḳhalish ke sivā ek aarzū ke sivā
ajiib shahr-e-ḳhamoshāñ hai shahr-e-ehsāsāt
tumhī batāo ki aise meñ ik tumhāre sivā
kahūñ to kis se kahūñ ab tumhāre dard kī baat
mata-e-fikr nashat-e-amal farogh-e-hayat
tumhaara dard tumhaari ye aaKHiri saughat
harif sara zamana raqib sara jahan
chura na le koi Darta hun is ka rang-e-sabaat
kahan chhupaun use kis tarah bachaun use
charagh ek hawa tez aur andheri raat
faragh jism ka dil ka sukun nazar ka qarar
tumhaare dard ke dushman hain ye sabhi haalat
main us maqam pe pahuncha hun in dinon ki jahan
na kahish-e-gham-e-dauran na kawish-e-gham-e-zat
bas ek KHalish ke siwa ek aarzu ke siwa
ajib shahr-e-KHamoshan hai shahr-e-ehsasat
tumhi batao ki aise mein ek tumhaare siwa
kahun to kis se kahun ab tumhaare dard ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.